kis qadar masala-e-sham-o-sahar badla hai
jab zara zawiya-e-fikr-o-nazar badla hai
samt-e-manzil ka tayyun nahin do gam ki baat
kitne moD aae hain jab tarz-e-safar badla hai
apni aawaz pe hum chaunk uThe hain KHud bhi
ek zara lahja-e-ehsas agar badla hai
dasht mein bhi kabhi is tarah na ji lagta tha
ab ke diwangi badli hai ki ghar badla hai
aa gaya hai rasan-o-dar ke mamul mein farq
jab kabhi zabta-e-gardan-o-sar badla hai
ab wo yak-rangi-e-mahaul ki talKHi to nahin
hum ne mai badli na ho jam magar badla hai
inqalab aaya hai is tarah bhi ghar mein akasr
dar se diwar na diwar se dar badla hai

Ghazal
Kis qadar masala-e-sham-o-sahar badla hai
Ezaz Afzal