kis qadar mahdud kar deta hai gham insan ko
KHatm kar deta hai har ummid har imkan ko
git gata bhi nahin ghar ko sajata bhi nahin
aur badalta bhi nahin wo saz ko saman ko
itne barson ki riyazat se jo qaem ho saka
aap se KHatra bahut hai mere is iman ko
koi rukta hi nahin is ki tasalli ke liye
dekhta rahta hai dil har ajnabi mehman ko
ab to ye shayad kisi bhi kaam aa sakta nahin
aap hi le jaiye mere dil-e-nadan ko
shahr walon ko to jaise kuchh pata chalta nahin
rokta rahta hai sahil roz-o-shab tufan ko
Ghazal
Kis qadar mahdud kar deta hai gham insan ko
Zeeshan Sahil