kis qadar iztirab hai yaro
zindagi ek azab hai yaro
dil mera saf aaine ki tarah
ek sada kitab hai yaro
main hun nakaam ishq mein lekin
kya koi kaamyab hai yaro
jab se dekha hai is ne hans ke mujhe
dil ki haalat KHarab hai yaro
gham-e-jaanan to rahat-e-dil hai
fikr-e-duniya azab hai yaro
us ne shayad kiya hai yaad mujhe
dil mein kyun iztirab hai yaro
puchhte kya ho us ka naqsh-o-nigar
aap apna jawab hai yaro
sun sakunga na dastan-e-ishq
ab kahan mujh mein tab hai yaro
kya karega koi KHarab use
jo azal se KHarab hai yaro
kuchh batao ki aaj 'danish' par
kyun sitam be-hisab hai yaro
Ghazal
Kis qadar iztirab hai yaro
Danish Farahi