kis ne sunaya aur sunaya to kya suna
sunta hun aaj tu ne mera majra suna
aise se dil ka haal kahen bhi to kya kahen
jo be-kahe kahe ki chalo bas suna suna
wasl-e-adu ka haal sunane se faeda
allah rahm kijiye bas bas suna suna
qasid tere sukut se dil be-qarar hai
kya us jafa-shiar ne tujh se kaha suna
aaKHir 'hasan' wo ruTh gae uTh ke chal diye
kam-baKHt aur haal-e-dil-e-mubtala suna
Ghazal
Kis ne sunaya aur sunaya to kya suna
Hasan Barelvi

