kis ne kaha ki chup hun miyan bolta nahin
jab aag bolti ho dhuan bolta nahin
raste ki baat ghaur se sunta hun is liye
rah mein kisi se ham-safaran bolta nahin
yun to har ek shaKHs ka apna hi shor hai
lekin kisi se koi yahan bolta nahin
bas yunhi puchhta hun makinon ka haal-chaal
barson se band hai ye makan bolta nahin
sar kha liya hai dil ne mera bol bol kar
kahta hun main jahan pe wahan bolta nahin
kitni hi dastanen sunata hai lahr lahr
kahne ko yun to aab-e-rawan bolta nahin
dil mein utarta jata hai us ka kaha hua
chahe wo shaKHs meri zaban bolta nahin
Ghazal
Kis ne kaha ki chup hun miyan bolta nahin
Azhar Abbas