kis ne di mujh ko sada kaun-o-makan ke us taraf
muntazir hai kaun mera aasman ke us taraf
jaane kab donon milen aapas mein sayon ki tarah
do musafir chal rahe hain kahkashan ke us taraf
tai kiya main ne safar jaldi ki main jaldi mein tha
rah gaya saya mera donon jahan ke us taraf
ek na ek sar par rahega jitna main uncha gaya
aasman kuchh aur bhi hain aasman ke us taraf
par utrunga to wo mujh ko uTha le jaega
ek sahra KHushk bahr-e-be-karan ke us taraf
koi sargoshi-numa aawaz bhi aati nahin
kitni gahri KHamushi hai la-makan ke us taraf
Ghazal
Kis ne di mujhko sada kaun-o-makan ke us taraf
Anjum Niyazi