kis ne dekhi hai bahaaron mein KHizan mere siwa
kaun kar sakta hai ye qissa bayan mere siwa
kis ko malum hai sahra ki hawaon ka mizaj
ret par kaun banaega makan mere siwa
sab faqiran-e-shab-e-hijr watan chhoD gae
kaun ab dega bayaban mein azan mere siwa
thapkiyan kaun sar-e-dasht mujhe deta hai
kya koi aur bhi rahta hai yahan mere siwa
ek ek zaKHm mere ashk se ye kahte rahe
ab koi aur na ho naqsh-ayan mere siwa
is nae shahr ki is bhiD mein ai hazrat-e-ishq
jaanta kaun hai ab tum ko miyan mere siwa
Ghazal
Kis ne dekhi hai bahaaron mein KHizan mere siwa
Muzaffar Abdali