kis nae KHwab mein rahta hun Duboya hua main
ek muddat hui jaga nahin soya hua main
meri suraj se mulaqat bhi ho sakti hai
sukhne Dal diya jaun jo dhoya hua main
mujhe bahar nahin saman ke andar DhunDo
mil bhi sakta hun kisi shai mein samoya hua main
bazyabi ki tawaqqo hi kisi ko nahin ab
apni duniya mein hun is tarha se khoya hua main
sham ki aaKHiri aahaT pe dahalta hua dil
subh ki pahli hawaon mein bhigoya hua main
aasman par koi konpal sa nikal aaunga
sal-ha-sal se is KHak mein boya hua main
kabhi chahun bhi to ab ja bhi kahan sakta hun
is tarah se tere kanTe mein piroya hua main
mere kahne ke liye baat nai thi na koi
kah ke chup hogae sab log to goya hua main
muskuraate hue milta hun kisi se jo 'zafar'
saf pahchan liya jaata hun roya hua main
Ghazal
Kis nae KHwab mein rahta hun Duboya hua main
Zafar Iqbal