kis munh se zindagi ko wo raKHshanda kah saken
jo mehr-o-mah ko bhi na tabinda kah saken
wo din bhi hun ghubar chhaTen aandhiyan haTen
aur gul ko rang-o-bu ka numainda kah saken
taza rakhen sada KHalish-e-zaKHm ko ki hum
jo ab na kah sake kabhi aainda kah saken
zindan mein koi rauzan-e-zindan to ho ki log
jis haal mein bhi dekhen hamein zinda kah saken
har shai badal rahi hai ajab ujlaton mein rang
koi to naqsh ho jise painda kah saken
dil ke siwa hai kaun sa aisa charagh sham
be-nur ho ke bhi jise raKHshanda kah saken
sadiyon nawa-garon ko mayassar na aa mile
wo git jin ko hasrat-e-sazinda kah saken
is daur mein har ek ko hai KHud apni justuju
koi nahin jise tera joinda kah saken
har su udas chehre hain itne ki ab 'nasim'
kis ko dayar-e-dard ka bashinda kah saken

Ghazal
Kis munh se zindagi ko wo raKHshanda kah saken
Sadique Naseem