kis munh se karun main tan-e-uryan ki shikayat
daman ki shikayat na gareban ki shikayat
kaisa hi khaTakta rahe dil mein mere paikan
mujh se to na hogi kabhi mehman ki shikayat
itna bhi taghaful nahin achchha kahin tum ko
karni na paDe shorish-e-pinhan ki shikayat
allah rakhe mere tasawwur ko salamat
tujh ko to nahin hai shab-e-hijran ki shikayat
hon lang magar waqif-e-adab-e-junun hun
main kufr samajhta hun bayaban ki shikayat
kahti hai teri chashm ki gardish mere hote
koi na kare gardish-e-dauran ki shikayat
jate to ho kabe ko KHuda ke liye 'mail'
karna na kisi dushman-e-iman ki shikayat
Ghazal
Kis munh se karun main tan-e-uryan ki shikayat
Mirza Mayal Dehlvi