اردو हिंदी
Kis mein KHubi hai jalane mein ki jal jaane hain | Shaahi Shayari
kis mein KHubi hai jalane mein ki jal jaane hain

Ghazal

Kis mein KHubi hai jalane mein ki jal jaane hain

Raj Bahadur Saxena Auj

;

kis mein KHubi hai jalane mein ki jal jaane hain
shama mein soz ziyaada hai ki parwane mein

lazzat-e-dard ko ek KHar mayassar na hua
dil ka kanTa na nikala gaya virane mein

mere pur-dard bayan ne mujhe marne na diya
maut ko nind si aai mere afsane mein

aab-e-kausar to na tha chashm-e-siyah mein teri
paD gai jaan tujhe dekh ke diwane mein

haq-parasti meri kabe se sada deti hai
dil mein kar yaad KHuda baiTh ke but-KHane mein

gham ghalat karta hun pi pi ke jigar ke aansu
shabnami mai hai meri aankh ke paimane mein

mujh ko jab saqi-e-maghrur ne saghar na diya
'auj' aansu nikal aae mere maiKHane mein