kis masti mein ab rahta hun
KHud ko KHud mein DhunD raha hun
duniya mein sab se hi juda hun
aaKHir main kis duniya ka hun
main to KHud ko bhul chuka hun
tum batla do kaun hun kya hun
ye bhi nahin hai yaad mujhe ab
kyun aaKHir rota rahta hun
ek duniya hai mere andar
us mein hi main ghum raha hun
mujh ko nind hai pyari ya phir
us ko bhi main hi pyara hun
wo ruKH apna pher chuke hain
main kis ko apna kahta hun
in lafzon ne manzil chhini
aap chalen main abhi aata hun
man to KHushiyan banT raha hai
main qatra qatra rota hun
KHud ka bojh hai kitna KHud par
kitna KHud ko jhel raha hun
mujh ko tum 'mahtab' na samjho
shayad main us ka saya hun
Ghazal
Kis masti mein ab rahta hun
Bashir Mehtaab