kis mashaqqat se mujhe jism uThana paDa hai
sham hote hi tere shahr se jaana paDa hai
main tujhe hansta hua dekh ke ye bhul gaya
ki mere chaaron taraf rota zamana paDa hai
jamma punji hai mere jism mein kuchh aansuon ki
ye mera dil to nahin ek KHazana paDa hai
der tak bagh ke kone mein koi aaya nahin
baat karne ke liye KHud ko bulana paDa hai
din ne dastak di to koi bhi nahin jaga tha
aaj suraj se mujhe hath milana paDa hai
KHali jaghon ki taraf kar ke ishaara 'qasim'
kya batate ho yahan mera nishana paDa hai
Ghazal
Kis mashaqqat se mujhe jism uThana paDa hai
Qasim Yaqub