kis manzar mein kaise manzar ug aate hain
KHwab ugana chahun patthar ug aate hain
ye na-mumkin hai phir bhi lagta hai jaise
qaid mein waqt se pahle hi par ug aate hain
mausam ka eajaz hai ya jadu hai koi
raaton-raat daraKHton par ghar ug aate hain
pure chand ki raat samundar narm hawaen
sath-e-ab pe kya kya paikar ug aate hain
ishq mein qamat ka yun dhyan rakha jata hai
gardan kaT jati hai to sar ug aate hain
us ke nam ka naqqara bajte hi 'saifi'
chaaron-jaanib dard ke lashkar ug aate hain
Ghazal
Kis manzar mein kaise manzar ug aate hain
muneer saifi

