kis lutf se mahfil mein biThae gae hum log
kya raaz tha KHatir mein jo lae gae hum log
shamen teri yaadon ki jalae gae hum log
ashkon ke KHazane the luTae gae hum log
sar naqsh-e-kaf-e-pa pe jhukae gae hum log
yun rasm-e-wafa un se banae gae hum log
ghairon ne murattab kiye afsane sitam ke
afsanon ke unwan banae gae hum log
hain morid-e-ilzam hamin teri nazar mein
duniya ki KHataon pe satae gae hum log
go hum na rahe rah gaya afsana hamara
mazi ki tarah ho gae aae gae hum log
hum miT gae duniya se to samjhi hamein duniya
khoe gae hum log to pae gae hum log
achchhe rahe wo log jo bande the hawas ke
aadab-e-mohabbat mein miTae gae hum log
kuchh aise gire 'saif' nigahon se hum un ki
jis bazm mein bhi pahunche uThae gae hum log

Ghazal
Kis lutf se mahfil mein biThae gae hum log
Saif Bijnori