kis liye sahra ke muhtaj-e-tamasha hojiye
chaak kije sine ko aur aaphi sahra hojiye
kushta-e-lab ho ke kije jawedan ab zindagi
kyun abas minnat-kash-e-KHizr-o-masiha hojiye
chashm-e-ahwal sab ko dekhe hai ziyaada aap se
ain binai hai gar is tarah bina hojiye
kab talak sar-gashta rahiye din ko misl-e-gard-baad
raat ko jun shama jalne ko muhayya hojiye
is qadar hum dil-girafta hain ki mushkil hai bahut
us ke band-e-jama wa hone pe bhi wa hojiye
mujh se ye mahjubi aur dushman se aisa iKHtilat
sharm kije bewafai mein na ruswa hojiye
aana yun tewri chaDhae munh banae faeda
gar yahi surat hai mat tashrif-farma hojiye
bul-hawas ka yun hadaf kije nishana tir ka
ghafil apni qadar se be-dard itna hojiye
jun jaras baam-o-dar-e-har-KHana se uTThega shor
mat safar se hashr barpa saz-e-suhha hojiye
KHana viran kar ke diwane bane tis par 'raza'
kuchh na hoe phir bhala kya kijiye kya hojiye
Ghazal
Kis liye sahra ke muhtaj-e-tamasha hojiye
Raza Azimabadi