kis liye sab ko ajab bojh laga sar apna
le ke mahfil mein jo pahuncha main kaTa sar apna
hath lapke to bahut pahunche na gardan tak bhi
na magar ahl-e-nazar the na jhuka sar apna
rasm phir rasm hai Thahra hai lahu hi jo suhag
chamak ai tegh-e-hawa le ye raha sar apna
sab hawa bhul gai sarkashi-o-sha-zori
ek zara dosh-e-hawa par jo uDa sar apna
hum ne Thokar bhi agar khai to ghar aa kar hi
apni dahliz hi se ja ke laga sar apna
bas ki ab dekhna hai apne lahu se rishta
KHwab mein dekhta hun tan se juda sar apna
kam se kam bhul gae war to shamshiron ko
'talKH' jaane do bhula do jo gaya sar apna
Ghazal
Kis liye sab ko ajab bojh laga sar apna
Manmohan Talkh