اردو हिंदी
Kis lamhe hum tera dhyan nahin karte | Shaahi Shayari
kis lamhe hum tera dhyan nahin karte

Ghazal

Kis lamhe hum tera dhyan nahin karte

Alam Khursheed

;

kis lamhe hum tera dhyan nahin karte
han koi ahd-o-paiman nahin karte

har dam teri mala japte hain lekin
galiyon kuchon mein elan nahin karte

apni kahani dil mein chhupa kar rakhte hain
duniya walon ko hairan nahin karte

ek kamre ko band rakha hai barson se
wahan kisi ko hum mehman nahin karte

ek jaisa dukh mil kar banTa karte hain
ek duje par hum ehsan nahin karte

kuchh raste mushkil hi achchhe lagte hain
kuchh raston ko hum aasan nahin karte

raste mein jo milta hai mil lete hain
achchhe bure ki ab pahchan nahin karte

ji karta hai bhaalu bandar nam rakhen
kaun si wahshat hum insan nahin karte

'alam' us ke phul to kab ke sukh gae
kyun taza apna gul-dan nahin karte