kis ko malum tha ek roz ki yun hona tha
mustaqil zabt ka anjam junun hona tha
umr bhar zist ke kaghaz pe mashaqqat likhna
yani ek shaKHs ka is tarah bhi KHun hona tha
be-hisi milti mujhe shahr mein jine ke liye
ya mera dast-e-hunar dast-e-fusun hona tha
fasla qurb ki saat mein simaT sakta tha
sar jhuka tha to tera dil bhi nigun hona tha
bunte rahna tha 'rais' aas ke tane-bane
kuchh to jine ke liye wajh-e-sukun hona tha

Ghazal
Kis ko malum tha ek roz ki yun hona tha
Raeesuddin Raees