اردو हिंदी
Kis ko kahte hain jafa kya hai wafa yaad nahin | Shaahi Shayari
kis ko kahte hain jafa kya hai wafa yaad nahin

Ghazal

Kis ko kahte hain jafa kya hai wafa yaad nahin

Akhtar Muslimi

;

kis ko kahte hain jafa kya hai wafa yaad nahin
ai mohabbat mujhe kuchh tere siwa yaad nahin

dekhiye hoti hai kis tarah shab-e-gham ki sahar
ab to ai dard-e-jigar koi dua yaad nahin

ho gai KHatm rah-o-rasm-e-mohabbat shayad
main wafa bhul gaya un ko jafa yaad nahin

yun bhi kar sakte ho barbaad-e-mohabbat pe karam
hum ne mana ki tumhein ahd-e-wafa yaad nahin

dil-e-diwana pe ilzam lagane wale
jis ne diwana banaya wo ada yaad nahin

jis se 'aKHtar' ho mere dard-e-mohabbat ka ilaj
kya masiha-nafason ko wo dawa yaad nahin