kis ko hai husn-e-KHuda-dad ka dawa dekhen
kis ka chehra nahin minnat-kash-e-ghaza dekhen
jo muqaddar hai wo anjam-e-tamanna dekhen
dil-e-wahshat-zada chal aaj use ja dekhen
dil ye kahta hai ki husn us ka jahan-tab bhi ho
aur phir ye bhi hai ki hum hi use tanha dekhen
aao kuchh jashn-e-shahadat hi mein shirkat ho jae
apni khiDki hi se maqtal ka nazara dekhen
kaun manjdhaar mein jae sar-e-sahil baiThen
dur se Dubne walon ka tamasha dekhen
ab bhi hota hai wahan zikr hamara ki nahin
aalam us bazm ka ab kya hai zara ja dekhen
Ghazal
Kis ko hai husn-e-KHuda-dad ka dawa dekhen
Gopal Mittal