اردو हिंदी
Kis ko fursat kaun paDhega chehre jaisa sachcha sach | Shaahi Shayari
kis ko fursat kaun paDhega chehre jaisa sachcha sach

Ghazal

Kis ko fursat kaun paDhega chehre jaisa sachcha sach

Badr Wasti

;

kis ko fursat kaun paDhega chehre jaisa sachcha sach
roz adalat mein chalta hai khoTa sikka jhuTa sach

unche KHwabon ke tajir se koi nahin ye puchhne wala
kaun jawanon ke chehron par likh deta hai pila sach

hum se kya puchhoge sahab shahr kabhi ka TuT chuka
sham ki maili chadar par hai TukDe TukDe phaila sach

un aankhon mein mustaqbil ke KHwab bhala kya utrenge
jin aankhon ne dekh liya hai waqt se pahle nila sach

us ke beTa beTi college usi taraf se jate hain
raat ko jis ne beach saDak par phenka hai ek gila sach

sab ne hum ko KHush-haali ke KHwab dikha kar chhoD diya
galiyon galiyon ghum raha hai dhul mein lipTa nanga sach

'badr' tumhaari rah mein aa kar duniya jal bichhaegi
jo kahte ho kahte rahna chhoD na dena likhna sach