kis ko batate kis se chhupate suragh-e-dil
chup sadh li hai zaKHm dikhaya na dagh-e-dil
kaise karen bayan gham-e-jaan ki dastan
ai kash gul khilae hamara ye bagh-e-dil
guzre hamari zist ke ayyam is tarah
labrez aansuon se hai goya ayagh-e-dil
jab rakh ban gae to kaha ye harif ne
jal jal ke wo jalate rahe hain charagh-e-dil
jis se mile tawil zamana guzar gaya
shayad usi ke zehn mein ho kuchh suragh-e-dil
chahat ki ab to koi bhi hasrat nahin rahi
sarsabz us ki yaad se phir bhi hai bagh-e-dil
rakhti nahin 'sabila' kabhi aib par nazar
masruf pyar mein raha is ka faragh-e-dil
Ghazal
Kis ko batate kis se chhupate suragh-e-dil
Sabeela Inam Siddiqui