اردو हिंदी
Kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuT gaya | Shaahi Shayari
kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuT gaya

Ghazal

Kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuT gaya

Mirza Ali Lutf

;

kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuT gaya
KHum mere munh se laga de jo subu TuT gaya

kijo us zulf ko mashshat samajh kar shana
lakh dil TuTe agar ek wo mu TuT gaya

kuchh KHabar hai tujhe kahte hain tere zaKHmi ka
aaj phir chaak ka sine ke rafu TuT gaya

falak us dil-shikani ka to maza dekhega
koi dil gar kabhi ai arbada-ju TuT gaya

thi muridon ke liye qalb ke sadme ki dalil
shaiKH ka raqs mein sam par jo wuzu TuT gaya

dhyan us shishe ka rakhna ki na hoga paiwand
dil meri jaan agar yak sar-e-mu TuT gaya

us KHud-ara ke raha hath mein nit aaina
gham se aaina-dil hae na tu TuT gaya

mohtasib ne to KHarabaat mein ki KHun-rezi
par sar-e-rind pe shab mai ka kadu TuT gaya

dekhna tar-e-mohabbat ki hai mushkil phir sanTh
rishta-e-dosti ai 'lutf' kabhu TuT gaya