kis kis se dosti hui ye dhyan mein nahin
un mein se ek bhi mere saman mein nahin
rasm-e-wafa ka us se nibhana bhi hai muhaal
tark-e-talluqat bhi imkan mein nahin
bandhen kisi se ahd-e-wafa hum to kis tarah
ek tar bhi to apne gareban mein nahin
kyun hum ne haar man li kyun Dal di sipar
ye saneha shikast ke elan mein nahin
ye jaan supurdagi hai usi ek baat par
jo baat mere ishq ke paiman mein nahin
shoridgi ko hain sabhi aasudgi nasib
wo shahr mein hai kya jo bayaban mein nahin
'tishna' wo shab likhi hai hamare nasib mein
jis ki sahar ka zikr bhi imkan mein nahin
Ghazal
Kis kis se dosti hui ye dhyan mein nahin
Alamtaab Tishna