kis kis ko ab rona hoga jaane kya kya bhul gaya
chashm o lab ka zikr hi kya hai main to sarapa bhul gaya
us ne to shayad baad-e-saba se nama-e-KHushbu bheja tha
us ko KHabar kya mujh ko chaman ka patta patta bhul gaya
shahr-e-shab mein apni faqat ek najm-e-sahar se yari thi
hum kuchh aise soe wo bhi rafta rafta bhul gaya
aabla-pa hun aap-apne hi naqsh-e-qadam se Darta hun
tanha tanha phirte phirte apna saya bhul gaya
'shaz' se puchho o saudai kis ki dhun mein phirta hai
kis ki baaten yaad aati hain kis ka chehra bhul gaya
Ghazal
Kis kis ko ab rona hoga jaane kya kya bhul gaya
Shaz Tamkanat