kis ki us tak rasai hoti hai
han magar jis ki aai hoti hai
yar hum se siyah-baKHton ki
zulf tak kab rasai hoti hai
KHub mil kar gale se ro lena
is se dil ki safai hoti hai
Dubti hai hamari kashti-e-dil
aap se aashnai hoti hai
shor hai al-firaq ka har dam
hum se un se judai hoti hai
lashkar-e-gham ki kishwar-e-dil par
raat din ab chaDhai hoti hai
un ki mahfil mein jate Darta hun
wan lagai-bujhai hoti hai
us ke dar par 'haqir' tum bhi chalo
wahin mushkil-kushai hoti hai
Ghazal
Kis ki us tak rasai hoti hai
Haqeer