اردو हिंदी
Kis ki mahfil se uTh ke aaya hun | Shaahi Shayari
kis ki mahfil se uTh ke aaya hun

Ghazal

Kis ki mahfil se uTh ke aaya hun

Jameel Malik

;

kis ki mahfil se uTh ke aaya hun
apne ghar mein hun aur tanha hun

tu meri zindagi ki sham na ban
main teri subh ka ujala hun

chand mein bastiyan basa lena
mujh ko DhunDho ki main bhi duniya hun

jaan-e-imroz raunaq-e-farda
koi samjhe mujhe to kya kya hun

kaise jhuTlaegi mujhe duniya
main ki haalat ka taqaza hun

meri KHushbu se bas rahe hain chaman
main har ek shaKH-e-gul se paida hun

ye jahan mazra-e-tamanna hai
aur main hasil-e-tamanna hun