kis ki aankhon ki hidayat se mujhe dekhta hai
aaina apni firasat se mujhe dekhta hai
jab se utre hain mere dil pe ye aalam-e-zamin
aasman jhuk ke rifaqat se mujhe dekhta hai
main gunahgar hun aankhon mein abhi tak apni
jaane wo kis ki niyabat se mujhe dekhta hai
mail-e-raqs nahin panw mein zanjir nahin
phir bhi zindan hai ki wahshat se mujhe dekhta hai
ek din Dali thi buniyaad mashaqqat ki yahan
ab ye sahra bhi mohabbat se mujhe dekhta hai
dil ki aawaz pe nikla tha baghawat ke liye
shahr ka shahr himayat se mujhe dekhta hai
raushni chhai hui rahti hai ab mujh pe 'taraaz'
koi to hai jo inayat se mujhe dekhta hai

Ghazal
Kis ki aankhon ki hidayat se mujhe dekhta hai
Rashid Taraz