kis ke sapnon se meri nind saji rahti hai
jagta hun to in aankhon mein nami rahti hai
DhunDhta rahta hun be-sudh main kisi machis ko
ek cigarette mere honTon se lagi rahti hai
ek taswir saliqe se rakhi hai ghar mein
baqi har chiz to bas yun hi paDi rahti hai
aise aalam mein jahan koi nahin kahta kuchh
ye sadaon ki faza kaise bani rahti hai
Dhalta jata hun andheron mein main rafta-rafta
chandni dur kahin dur khaDi rahti hai
main tere pas KHalaon mein pahunch jata hun
aur ek lash kahin ghar mein paDi rahti hai
Ghazal
Kis ke sapnon se meri nind saji rahti hai
Dinesh naaidu