kis ke naghme gunjte hain zindagi ke saz mein
ek nai aawaz shamil hai meri aawaz mein
mere ghar mein chha rahi thi sham-e-gham ki tirgi
jab ujala ho raha tha jalwa-gah-e-naz mein
dard-e-dil mein yun bhi jab hoti nahin koi kami
kya zaruri hai izafa husn ke andaz mein
main agar KHamosh hun KHamosh rahne dijiye
meri KHamoshi se kya kya hadse hain raaz mein
hum ne dekhe hain kuchh aise bhi asiran-e-chaman
jin ki sari umr guzri hasrat-e-parwaz mein
hans raha hun yaad kar ke ishq ki nadaniyan
sun raha hun dastan apni tere andaz mein
tum na hote is qadar ruswa zamane mein 'shajia'
soch lete ishq ka anjam agar aaghaz mein
Ghazal
Kis ke naghme gunjte hain zindagi ke saz mein
Nawab Moazzam Jah Shaji