kis ke liye kijiye jama-e-diba-talab
dil to kare hai mudam daman-e-sahra-talab
kaam rawa hon bhala us se hum ab kis tarah
us ko tamanna nahin hum hain tamanna-talab
kis se kahin kya karen hai ye tamasha ki baat
wo to hai parda-nashin hum hain tamasha-talab
kahiye to kis kis ke ab ghaur kare wo tabib
jis ke talabgar hon lakh mudawa-talab
ek tamanna ho to yar se kahiye 'nazir'
dil hai pur-az-arzu kijiye kya kya talab
Ghazal
Kis ke liye kijiye jama-e-diba-talab
Nazeer Akbarabadi