kis ke dil mein basta hun 
aksar socha karta hun 
sath ke niche kuchh bhi nahin 
kahne ko main dariya hun 
KHud ko kabhi main pa na saka 
jaane kitna gahra hun 
aaj bhi shayad tu aae 
KHwab sajae baiTha hun 
rah kar arse tak be-ab 
moti ban kar chamka hun 
jag raha hai diwana 
aur main soya rahta hun
        Ghazal
Kis ke dil mein basta hun
Hasnain Aaqib

