kis ke chamke chand se ruKHsar qiasar-bagh mein
chandni hai saya-e-diwar qiasar-bagh mein
fil-haqiqat ye bhi kam gulzar-e-jannat se nahin
huren phirti hain sar-e-bazar qiasar-bagh mein
panw ka yan zikr kaisa saf hai aisi zamin
dil phisalte hain dam-e-raftar qiasar-bagh mein
zer-e-shaKH-e-gul agar sabza kabhi sone laga
shor-e-bulbul ne kiya bedar qiasar-bagh mein
itne patte bhi na honge gulshan-e-firdaus mein
jis qadar phulon ke hain ambar qiasar-bagh mein
tishnigan-e-shauq hain shirin-labon ke mehman
baT raha hai sharbat-e-didar qiasar-bagh mein
qatre shabnam ke rag-e-gul par dikhate hain bahaar
gundh rahe hain motiyon ke haar qiasar-bagh mein
saya-e-baal-e-huma kya DhunDhta hai ai 'amir'
baiTh zer-e-saya-e-diwar qiasar-bagh mein
Ghazal
Kis ke chamke chand se ruKHsar qiasar-bagh mein
Ameer Minai