kis ka shoala jal raha hai shoalagi se mawara
kaun raushan hai bhala is raushni se mawara
jite ji to kuchh nahin dekha nazar se han magar
hairaten DhunDa kiye is hairati se mawara
kaun sa aalam hai malik tere aalam mein nihan
kaun sajde mein chhupa hai bandagi se mawara
koi to batlaega aage kahan muDti hai rah
koi to hogi zamin us malgaji se mawara
baat jine ki ada tak KHub-surat hai magar
zindagi kuchh aur hai is zindagi se mawara
KHak-basta phir raha hai kaun si basti mein dil
kaun aaKHir KHasta-jaan hai KHastagi se mawara
ek nagar tarsa hua hai aur sahra hai tawil
aur ek naddi hai koi tishnagi se mawara
kab se KHali hath hai yan ek KHilqat ishq ki
hum bhi ho jaenge ek din bebasi se mawara
in farawan neamaton aur barkaton ke bawajud
koi muflis chal diya hai muflisi se mawara
apni duniya mein agar phaili hai tariki to kya
din kahin nikla to hoga tirgi se mawara
Ghazal
Kis ka shoala jal raha hai shoalagi se mawara
Ahmad Hamesh