اردو हिंदी
Kis hawale se mujhe kis ka pata yaad aaya | Shaahi Shayari
kis hawale se mujhe kis ka pata yaad aaya

Ghazal

Kis hawale se mujhe kis ka pata yaad aaya

Adeem Hashmi

;

kis hawale se mujhe kis ka pata yaad aaya
husn-e-kafir ko jo dekha to KHuda yaad aaya

ek TuTa hua paiman-e-wafa yaad aaya
yaad aaya bhi mujhe aaj to kya yaad aaya

sham ke hath ne jis waqt laga li mehndi
mujhe us waqt tera rang-e-hina yaad aaya

kahin aankhon ki nami raaz na ifsha kar de
main ne munh pher liya tu jo zara yaad aaya

sare fankar uTha lae the shahkaron ko
aur main tha mujhe andaz tera yaad aaya

kitni duniya thi mere gird tujhe kya malum
baDi mushkil se mujhe tera pata yaad aaya

tere daman mein nami itni ziyaada kyun hai
kaun sa phul tujhe baad-e-saba yaad aaya

jab kisi ko koi ummid wafaon ki na thi
mujhe us pal tera paiman-e-wafa yaad aaya

qadam uThte the kahan su-e-haram apne 'adim'
aaj mushkil nazar aai to KHuda yaad aaya