kis haqiqat ka inkishaf kiya
dil ne mujh ko mere KHilaf kiya
mere hone ka e'tiraf kiya
mujh se jis ne bhi iKHtilaf kiya
to ne mujh ko muaf kar Dala
main ne KHud ko nahin muaf kiya
aankh main gard-e-KHud-numai thi
phir mujhe aaine ne saf kiya
ek surat dikhai dene lagi
main ne dil mein ajab shigaf kiya
ek duniya tabah kar Dali
ek zarre ne inhiraf kiya
masjidon mein the shor-o-shar 'nayyar'
main ne sahra mein etakaf kiya

Ghazal
Kis haqiqat ka inkishaf kiya
Shahzad Nayar