kis chaman ki KHak mein phulon ka mustaqbil nahin
durbin nazron mein rang-o-bu hain aab-o-gil nahin
shoKHiyan hain jis ki har jumbish mein lakhon be-naqab
kyun wo duzdida-nigahi haq-shanas-e-dil nahin
jabr sahta hun magar kab tak sahun insan hun
sabr karta hun magar dil sabr ke qabil nahin
ai hawadis-ashna iza-talab dil muzda-baad
ja raha hun us taraf ab main jidhar manzil nahin
kya hua kyun chhu ke tum ghunche ko pichhe haT gae
ye gul-e-nau-KHez hai mera shikasta-dil nahin
ai nigah-e-naz teri bazm mein laya hun main
aaj us dil ko jo barq-e-tur ka qail nahin
bazm-e-husn-o-ishq mein 'akbar' ki afsurda-dili
dad ke laeq nahin be-dad ke qabil nahin
Ghazal
Kis chaman ki KHak mein phulon ka mustaqbil nahin
Akbar Haidri