kis burj mein falak ne sitare milae hain
dast-e-shab-e-firaq mein sae hi sae hain
gulzar-e-zindagi ke hain gul-dan ke nahin
ye phul kar-KHana-e-qudarat se aae hain
KHasta hue tane to jaDen phuTne lagin
peDon ne apne apne badan phir ugae hain
saman-e-bud-o-bash tha jangal se shahr tak
hum apna bojh nafs ke ghoDon pe lae hain
duniya mein itne shor-sharabe ke bawajud
jo bolte nahin hain wahi ahl-e-rae hain
hum sar-phiron ka zauq-e-sukunat na puchhiye
jab shahr tang ho gae sahra basae hain
lagta hai apna zehn bhi apna nahin 'nasim'
KHud-saKHta KHayal bhi jaise parae hain

Ghazal
Kis burj mein falak ne sitare milae hain
Naseem Abbasi