kis bharose pe nikalta ghar se bahar main akela
chaar-su uThe hue hathon mein patthar main akela
maslahat-zadon ki naw sahilon par ja lagi hai
rah gaya sailab mein pisar-e-payambar main akela
mere parcham par meri ruswai ki tahrir hai
dushmanon se ja mila hai mera lashkar main akela
main ye kis ku-e-hirasan mein hun taswir-e-sawal
sab khaDe hain apne hi sayon se lag kar main akela
sahn mein aahaT hai koi aur na chhat par chap hai
sham hai aur be-dili ki siDhiyon par main akela
mujh se bahar zindagi aazadiyan aabaadiyan
aur is tarik se kamre ke andar main akela
sab ke aamalon ki 'nasik' lag chuki hain qimaten
rah gaya hun ab sar-e-bazar-e-mahshar main akela
Ghazal
Kis bharose pe nikalta ghar se bahar main akela
Nisar Nasik