kirdar kah rahe hain kuchh apni zaban mein
kitni kahaniyan hain isi dastan mein
jab aaj tak na baat mukammal hui koi
ye log bolne lage kyun darmiyan mein
barson mein kaT raha hai yahan arsa-e-hayat
sadiyan guzar rahi hain kahin ek aan mein
us din ke baad sochna mahdud kar diya
aisa KHayal ek din aaya tha dhyan mein
hone ki intiha hai wahi aaj tak 'malal'
jo ibtida mein ho gaya is KHak-dan mein

Ghazal
Kirdar kah rahe hain kuchh apni zaban mein
Sagheer Malal