kirdar hi se zinat-e-aflak ho gae
kirdar gir gaya KHas-o-KHashak ho gae
hum jaise sada-lauh ko duniya ke hath se
aisi saza mili hai ki chaalak ho gae
shayad bahaar aa gai mauj-e-junun liye
daman jo sil gae the wo phir chaak ho gae
kal tak dawa-e-dard the kuchh log shahr mein
aaj eqtidar kya mila zahhak ho gae
qismat ka tha mazaq ki ek husn-e-ittifaq
aai hamari yaad jab hum KHak ho gae
un ki nazar ne 'tahira' aisa asar kiya
jo darmiyan hisab the sab pak ho gae
Ghazal
Kirdar hi se zinat-e-aflak ho gae
Bano Tahira Sayeed