اردو हिंदी
Kiran to ghar ke andar aa gai thi | Shaahi Shayari
kiran to ghar ke andar aa gai thi

Ghazal

Kiran to ghar ke andar aa gai thi

Najeeb Ahmad

;

kiran to ghar ke andar aa gai thi
sunahri dhup kyun kajla gai thi

kuchh aisi be-hisi se pesh aaya
ki meri be-kasi sharma gai thi

chhanaka to mere andar hua tha
teri aawaz kyun bharra gai thi

wahi rishte wahi nate wahi gham
badan se ruh tak ukta gai thi

janam pa kar janam paya na main ne
mujhe lafzon ki nagan kha gai thi

thakan mein Dhal gaya lahja kisi ka
meri KHwahish ko bhi nind aa gai thi

wo chingari hua banhen bikhere
lipaT kar mujh ko bhi jhulsa gai thi

wo kab andar tha jo bahar na aaya
'najib' ek baat kya samjha gai thi