kiran kiran ke daraKHshanda bab mere hain
tamam raushniyon ke nisab mere hain
shabon ke sabz jazire hain sab meri aqlim
tamam jagti aankhon ke KHwab mere hain
main hun tamam dhaDakte dilon ka shaidai
ye aabgine ye nazuk habab mere hain
tamam umr taKHatub mera mujhi se raha
sawal main ne kiye hain jawab mere hain
KHuda-e-dasht ki taqsim par main raazi hun
ki aab-pare tere hain sarab mere hain
nasib aaj hain kanTe agar to kya gham hai
nai ruton ke shagufta-gulab mere hain
main aaftab ke manind hun naqib-e-'sahar'
siyahiyon pe sabhi ehtisab mere hain
Ghazal
Kiran kiran ke daraKHshanda bab mere hain
Husain Sahar