اردو हिंदी
Kinaya aur Dhab ka is meri majlis mein kam kije | Shaahi Shayari
kinaya aur Dhab ka is meri majlis mein kam kije

Ghazal

Kinaya aur Dhab ka is meri majlis mein kam kije

Insha Allah Khan u0027Inshau0027

;

kinaya aur Dhab ka is meri majlis mein kam kije
aji sab taD jawenge na aisa to sitam kije

tumhaare waste sahra-nashin hun ek muddat se
basan-e-ahu-e-wahshi na mujh se aap ram kije

mahaarajon ke raja ai junun DanDwat hai tum ko
yahi ab dil mein aata hai koi pothi raqam kije

gale mein Dal kar zunnar qashqa khinch mathe par
barahman baniye aur tauf-e-dar-e-bait-us-sanam kije

kahin dil ki lagawaT ko jo yun sujhe ki tak ja kar
qadimi yar se apne bhi KHalta koi dam kijiye

tu ungli kaT danton mein phula nathune ruhandi ho
laga kahne bas ab mere buDhape par karam kije

phaDakta aaj bhi hum ko na parson ki tarah rakhiye
KHuda ke waste kuchh yaad wo agli qasam kije

malang aapas mein kahte the ki zahid kuchh jo bole to
ishaara us ko jhaT su-e-nar-angusht-e-shikam kije

kabhi KHat bhi na likh pahuncha paDhaya aap ko kis ne
ki alqat dosti 'insha' se aisi yak-qalam kijiye