اردو हिंदी
Kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh | Shaahi Shayari
kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh

Ghazal

Kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh

Azhar Naqvi

;

kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh
nai maujon mein rahta hai purane paniyon ka dukh

kahin muddat hui us ko ganwaya tha magar ab tak
meri aankhon mein hai un be-sar-o-samaniyon ka dukh

to kya tu bhi meri ujDi hui basti se guzra hai
to kya tu ne bhi dekha hai meri viraniyon ka dukh

shikast-e-gham ke lamhon mein jo gham-alud ho jaen
zamin hathon pe le leti hai un peshaniyon ka dukh

miyan-e-aks-o-aina abhi kuchh gard baqi hai
abhi pahchan mein aaya nahin hairaniyon ka dukh

main pahle DhunDhta hun ek zara aasaniyan aur phir
baDi mushkil mein rakhta hai mujhe aasaniyon ka dukh