kinare toD ke bahar nikal gaya dariya
lakir chhoD ke ye kis taraf chala dariya
ab is se pahle samundar se ja ke mil pata
KHud apni pyas mein hi gharq ho gaya dariya
mere badan ka samundar to KHushk hota gaya
rawan dawan hi raha meri soch ka dariya
use kabhi na samundar ki justuju hoti
tahon mein apni utar kar jo dekhta dariya
KHulus hai ye to us ka kahan ki majburi
rihai ka hai samundar ko rasta dariya
use main dur hi se dekhta raha 'sani'
jo aaj pani mein utra hun to khula dariya
Ghazal
Kinare toD ke bahar nikal gaya dariya
Mahender Kumar Sani