اردو हिंदी
Kinare par samundar Dubte hain | Shaahi Shayari
kinare par samundar Dubte hain

Ghazal

Kinare par samundar Dubte hain

Manzoor Depalpuri

;

kinare par samundar Dubte hain
chalo kuchh aur andar Dubte hain

use hum rasta kahte hain apna
jahan lashkar ke lashkar Dubte hain

tere shane ko dariya chhu raha hai
hamare to yahan sar Dubte hain

teri ghazlon ko paDh kar sochta hun
teri aankhon mein manzar Dubte hain

teri qurbat sabab hai Dubne ka
kinare par bane ghar Dubte hain

wahan manzur hum ko tairna hai
jahan akasr suKHnawar Dubte hain