kin sarabon ka muqaddar huin aankhen meri
justuju kar ke jo patthar huin aankhen meri
kuchh na tham paya hai is sail-e-rawan ke aage
kaise ashkon ka samundar huin aankhen meri
KHun rone ke siwa kuchh nahin baqi in mein
kaise aasuda-e-KHanjar huin aankhen meri
kabhi anwar ko mil pata nahin in mein farogh
kya zamin chhoD ke banjar huin aankhen meri
tere irfan ki ye kaun si manzil hai KHuda
phir nae KHakon ka mehwar huin aankhen meri
roz ek hadsa is mein bhi sama jata hai
jite-ji kaisa ye mahshar huin aankhen meri
miT gae aks bhi yaadon ki tarah un mein 'taraaz'
na-muradi ka wo manzar huin aankhen meri
Ghazal
Kin sarabon ka muqaddar huin aankhen meri
Rashid Taraz