kin naqabon mein hai mastur wo husn-e-masum
ai meri chashm-e-gunahgar tujhe kya malum
haal-e-dil qabil-e-izhaar nahin hai warna
mere chup rahne ka kuchh aur nahin hai mafhum
ajnabi hun main tere shahr-e-karam mein ai dost
kya hai is shahr ka dastur mujhe kya malum
dil-e-KHush-fahm ye kahta tha bula lega koi
jab main uTTha tha teri bazm se ho kar maghmum
wo shab-e-hijr wo aasar-e-sahar aur dil mein
Dubti TuTti miTti hui yaadon ka hujum
ek paikar hai KHud se jise kahte hain wafa
husn-e-na-karda tamanna ko wafa kya malum
talib-e-dad-e-suKHan aap bhi hain kis se 'salim'
wo ki hain jis ki KHamoshi mein bhi lakhon mafhum
Ghazal
Kin naqabon mein hai mastur wo husn-e-masum
Saleem Ahmed